wo jo kahte hain kisi tedh bina koi baat nahin ho sakti so aan ki aan mein dor palat kar mahi-gir pe aan padi unhi mausam mein koi tum sa dariya par se aaya tha aur sari basti roi thi us din basti mein rone walon ka din tha aur tum ne kaha tha ye log samundar math kar pite the ab rote hain aur tum ne kaha tha un logon se to sahil par kho jaane wale bachche achchhe hain jo ret pe khelte khel ko pani kar dete hain so tedh mein tum ne baat kahi un logon se to sahil par kho jaane wale bachche achchhe hain wo jo kahte hain har baat mein koi tedh si ho to behtar hai un logon se sar-e-sham milo to baat nahin ho sakti aur din mein un ke sath kai dorahe chalte hain aur raat mein un ke ghar bas nind ka sauda ho sakta hai aur nind kaddu ki bel hai sukh gai to sahil par paighambar bacha rah jata hai so tedh mein tum ne baat kahi ab paighambar se baat nahin ho sakti wo jo kahte hain kisi tedh bina koi baat nahin ho sakti so aan ki aan mein dor palat kar mahi-gir par aan padi