main sunta hun so zinda hun main sunghun hun so zinda hun aur lams bhi zinda hai mera hairani ab tak baqi hai hai meri basirat ab bhi jawan aur chakhne se parhez kahan par sochna mujh ko dubhar hai ki soch ki rahen mushkil hain jo sochte hain kab jite hain ya zahr ka pyala pite hain ya sadme se mar jate hain main zinda rahna chahta hun to ret mein de kar sar apna main sunta hun main sunghta hun ek lams-e-basirat baqi hai main sunta hun main sunghta hun main zinda hun main zinda hun mujh ko nahin jine ki parwa main zinda rahna chahta hun