oxygen ki tube aur phansi ke phande mein waise bhi kya farq hai baat phansi ya phansi ke din ki nahin maut ki bhi nahin baat to lash ke mazhaka-khez lagne ki hai fikr lashe ki hai jaane kaisi lage? ek fut lambi patli si gardan mere itne bhaari badan par aur zaban? wo jo sunte hain itni nikal aaegi munh ke bahar kali-mai ki surat kahin wo dara to nahin degi bachchon ko mere aur wo sab nek insan jo ghusl denge mere jism ko so bhi paenge kya chain se? ya mera bhut un ko daraata rahega mahinon talak main nahin chahta koi mujh se dare koi mujh par hanse zindagi ek latife ki surat kati kuchh shikayat nahin han magar lash ki shakl mein mazhaka-khez lagne se darta hun main baat itni si hai baat phansi ya phansi ke din ki nahin