anokha aur naya gham shart hai koi tumhaare khud-kushi karne ki to phir bhul jao yahan to bas wahi gham hain purane gham ki jin se kaam ye duniya chalati aa rahi hai magar tum ho ki hans dete ho un par agar ye gham tumhein gham hi nahin lagte ki mahbuba tumhaari bewafa hai ki wo bachcha chhati jis ki manana thi tumhein aaj nak mein hai oxygen tube us ke to phir ye goliyan salfas ki be-kar mein tum jeb mein rakkhe hue ho inhen ja kar usi kathiya mein rakh aao ki jis mein kal hi tum ne sal bhar ke waste gehun bhara hai