raat-bhar iqrar ki baaten karo subh-dam inkar ki baaten karo uljhanen dil ki badhani hon agar gesu-e-khamdar ki baaten karo hain nigahen sair aur abru kaman yar ba-hathiyar ki baaten karo mah-washo itne bure bhi hum nahin aao hum se pyar ki baaten karo sirf pahli hi ke din ai dosto saz aur jhankar ki baaten karo dusri ko bach gae paise agar kucha-o-bazar ki baaten karo das talak chilllar agar baqi rahe chae par akhbar ki baaten karo bis aur ikkis ko ahbab se charkh-e-na-hanjar ki baaten karo qarz-e-hasana le ke tum untis tak ghar ke karobar ki baaten karo tis ko baaten karo iktis ki ya dil-e-bimar ki baaten karo aakhiri din khub ghusse mein raho hujjat-o-takrar ki baaten karo phir usi shab subh ki ummid mein mithi mithi pyar ki baaten karo tum se ye kis ne kaha tha 'khwah-makhwah' is tarah be-kar ki baaten karo