ufuq-ta-ufuq ye dhundalke ka aalam ye had-e-nazar tak nam-alud si ret ka narm qalin ki jis par samundar ki chanchal jawan betiyon ne kisi naqsh-e-pa ko bhi na chhoda faza apne daman mein bojhal khamoshi samete hai lekin machalti hui mast lahron ke honton pe naghma hai raqsan ye naghma suna tha mujhe yaad aata nahin kab magar han bas ehsas hai is qadar qarna-ha qarn pahle ki ginna bhi chahe to koi jinhen gin na pae bhala reg-e-sahil ke phaile hue nanhe zarron ko koi kahan tak gine machalti hui mast lahron ko sahil se chhutne ka gham hi nahin hai wida-e-sukun jaise koi sitam hi nahin hai jise qarna-ha-qarn pahle bhi main ne suna tha jise log suraj ke bujhne talak yunhi sunte rahenge