shahab saqib ka khel dil ki agar fazaon ko khira kar de to main samajh lun ki mere andar kashish ki sarhad pe ek chhat hai ki jis mein paiham masarraton ke hazaron tare chamak rahe hain magar qadamat ki intiha ko jo chhu chuke hain shikasta ho kar har ek lamha bikhar rahe hain