kabhi kabhi

kuchh yun badal gaya mera tarz-e-bayan kabhi kabhi
jaise zaban hoti hai khud be-zaban kabhi kabhi

khud se hi ho gaya hun main bezar han kabhi kabhi
guzri ye zindagi mujhe itni garan kabhi kabhi

de kar gham-e-jahan mujhe ashkon pe mere bandishen
yun bhi liya hai tu ne mera imtihan kabhi kabhi

wo shiddat-e-bayan ho ki ho jurat-e-bayan-e-haq
gustakh itni ho gai meri zaban kabhi kabhi

ya un ke iltifat se main aashna hua yun hi
ya ittifaq se hue wo gul-nishan kabhi kabhi

sharma ke rah gai meri manzil ki justuju kabhi
tharra ke rah gaya mera dard-e-nihan kabhi kabhi

jaise gharib farsh pe sota hai thak ke muzmahil
aksar yun so gaya mera azm-e-jawan kabhi kabhi

kuchh waqiat-e-zindagi kuchh hadsat-e-dil se bhi
dilchasp ho gai hai meri dastan kabhi kabhi

girya ke lutf se na main mahrum ho saka kabhi
insaf mera yun hua tere yahan kabhi kabhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close