baatuni miyan

rahte hain qasbe mein mere ek baatuni miyan
rokne se bhi nahin rukti kabhi un ki zaban

dhun yahi har dam hai un ki qaum ka leader banun
qaum pichhe ho mere main qaum ke aage rahun

farq kuchh tazkir aur tanis mein karte nahin
guftugu mein phir bhi wo late hain alfaz-e-hasin

ek din bole ki main jata hun padhne ke liye
ghumti hai ye zamin is ko samajhne ke liye

murghiyan dete hain ande murgh kyon deti nahin
is se badh kar zulm duniya mein nahin koi nahin

sun ke baaten un ki mujh ko aa gai fauran hansi
ye kaha main ne mubarak aap ko ho leaderi

main hansa meri hansi par un ko taish aa hi gaya
mere sar ko ek hi patthar mein zakhmi kar diya

hain haqiqat mein mere qasbe ke wo ruh-e-rawan
dekh kar bachche unhen kahte hain ai buddhu miyan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close