hasrat-e-tamir

ye duniya
phul patthar aag mitti

ret ke tudon ka maskan hai
pahadon ki chatanon aur dhalanon

tez-rau dariyaon aur chashmon ka manzar hai
ye duniya

nanhe-munne chand taron ka hai gahwara
jo mustaqbil ki nurani fazaon ki amanat hain

ye duniya
ilm-o-fan science aur tahzib ki

azmat ka mazhar hai
ye duniya khubsurat hai

bahut hi khubsurat hai
magar takhrib ka ek zarra atom

husn ko is ke
faqat ek lamha bhar mein hi mita sakne ke qabil hai

ye duniya kaisi bad-qismat
ki is ka dushman-e-jaan wo

jise khud is ke beton ne banaya hai
ye duniya

kash is takhrib ke imkan ko yaksar mita sakti
ye duniya

kash bas tamir hi ka rup ban sakti
ye duniya

kash phulon ka hasin manzar hi kahlati
ye duniya

kash bachchon ki hansi masumiyat aur phul se chehre
hamesha ke liye mahfuz rakh sakti

ye duniya kash wo hoti
jise khaliq ne khud apne hi hathon se banaya tha

faqat tamir ki khatir
faqat tamir ki khatir


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close