swaraj ka jhanda bhaarat mein gadwa diya gandhi baba ne dil qaum-o-watan ke dushman ka dahla diya gandhi baba ne ulfat ki rah mein mar jaana par nam jahan mein kar jaana ye path watan ke bachchon ko sikhla diya gandhi baba ne ek dharm ki taqat dikhla kar zalim ke chhakke chhodwa kar bhaarat ka loha duniya se manwa diya gandhi baba ne ai qaum watan ke parwano lo apne farz ko pahchano ab jail se ye paigham hamein bhijwa diya gandhi baba ne charkhe ki top chala do tum ghairon ke chhakke chhuda do tum ye hind ka chakr-sudarshan hai samjha diya gandhi baba ne nafrat thi gharibon se jin ko hain shad achhuton se mil kar ek prem-pyala duniya ko pilwa diya gandhi baba ne girdab mein qaum ki kashti thi tufan bapa the aafat ke nation ka beda sahil par lagwa diya gandhi baba ne bhagwan bhagat ne himmat ki ek prem-jwala jag uthi karwa kar shir-o-shakar sab ko dikhla diya gandhi baba ne hans hans kar qaum ke bachchon ne sinon par goliyan khai hain bhaarat ki rah mein mar mitna sikhla diya gandhi baba ne ghairon ke jhanson mein aana dushwar hai hind ke lalon ko aankhon se ghaflat ka parda uthwa diya gandhi baba ne