go raat ki jabin se siyahi na dhul saki lekin mera charagh barabar jala kiya jis se dilon mein ab bhi hararat ki hai numud barson meri lahad se wo shoala utha kiya phika hai jis ke samne aks-e-jamal-e-yar azm-e-jawan ko main ne wo ghaza ata kiya mere lahu ki bund mein ghaltan thin bijliyan khak-e-dakan ko main ne sharar-ashna kiya sahil ki aankh mein magar aai na kuchh kami dariya mein lakh lakh talatum hua kiya khwab-e-giran se ghunchon ki aankhen na khul sakin go shakh-e-gul se naghma barabar utha kiya ye bazm aisi soi ki jagi na aaj tak fitrat ka karwan hai ki aage badha kiya mara hua hun go khalish-e-intizar ka mushtaq aaj bhi hun payam-e-bahaar ka