ek jism-e-na-tawan itni dabaon ka hujum ek charagh-e-subh aur itni hawaon ka hujum manzilen gum aur itne rahnumaon ka hujum e'tiqad-e-kham aur itne khudaon ka hujum kashmakash mein apne hi mabad se katraata hua aadmi phirta tha dar dar thokaren khata hua haq ko hoti thi har ek maidan mein baatil se shikast sar-nigun sar-dar-gareban sar-basar the zerdast fan tha ek matlab-barari log the matlab-parast is-qadar bigda hua tha zindagi ka bandobast hami-e-jaur-o-sitam har tarah mala-mal tha jis ki lathi thi usi ki bhains thi ye haal tha kya khuda ka khauf kaisa jazba-e-hubb-e-watan barsar-e-paikar the aapas mein shaikh-o-barahman baghban jo the wo khud the mahw-e-takhrib-e-chaman al-gharaz bigdi hui thi anjuman ki anjuman mazhab-e-insaniyat ka pasban koi na tha karwan lakhon the mir-e-karwan koi na tha ruh-e-insan ne khuda ke samne fariyaad ki jo zamin par ho raha tha sab bayan rudad ki aur kaha had ho chuki hai kufr ki ilhad ki ek duniya muntazir hai aap ke irshad ki tab ye farmaya khuda ne sab ko samjhaunga main aadmi ka rup dhaaran kar ke khud aaunga main is tarah aakhir hua duniya mein nanak ka zuhur farsh-e-tilwandi pe utra arsh se rabb-e-ghafur uth gaya zulmat ka dera badha har samt nur mamba-e-anwar se phailin shuaen dur dur mehr-e-taban ne do-alam mein ujala kar diya aadmi ne aadmi ka bol-baala kar diya