apne badhte hue baalon ko kata lun to chalun ghusl-khane mein zara dhum macha lun to chalun aur ek cake mazedar sa kha lun to chalun abhi chalta hun zara pyas bujha lun to chalun raat mein ek bada dilchasp tamasha dekha mujh se mat puchh mere yar ki kya kya dekha thik kahte ho madhur sa koi sapna dekha aankh to mal lun zara hosh mein aa lun to chalun main thaka-haara tha itne mein madari aaya us ne kuchh padh ke mere sar ko zara sahlaya main ne khud ko kisi rangin mahal mein paya aise do-chaar mahal aur bana lun to chalun jaane kya baat hai baji ko jo hai mujh se jalan sab se kahti hain ki is launde ke bigde hain chalan mujh ko pita to mera ashkon se bhiga daman apne bhige hue daman ko sukha lun to chalun meri aankhon mein abhi tak hai shararat ka ghurur apni danai ka yani ki himaqat ka ghurur dost kahte hain ise to hai zehanat ka ghurur aise wahmon se abhi khud ko nikalun to chalun