in ko hum apna dost likhen aashna likhen hamdam likhen rafiq likhen ham-nawa likhen sher-o-adab se un ko talluq hai kis qadar taqat kahan qalam mein ki ye majra likhen likhne mein kuchh na kuchh hain wo masruf raat-din kaghaz qalam dawat mein un ko fana likhen naqd-o-nazar mein hai wo mahaarat ke hum unhen iqlim-e-nazm-o-nasr ka farman-rawa likhen yakta ho apne fan mein likhadi hua kare dil ko nahin laga to use sar-phira likhen tahtus-sura se arsh-e-barin ek aan mein pahunche wo khush-nasib jise marhaba likhen itna hi hum likhen ki samajh paen wo use un ki pahunch se hum na kabhi mawara likhen saqi ka aur sharab ka ho zikr bar bar zahid ko bhul kar na kabhi parsa likhen mahbub ke bayan mein ho lazim mubaalagha chehre ko phul zulf ko hum azhdaha likhen mumkin nahin ghazab se bachen hum janab ke baalishtiyon ko bhi na agar sarw sa likhen lazim hai hum pe hum jo likhen bahr mein rahe ham-wazn-o-ham-radif likhen qafiya likhen likhne mein ehtiyat se hum kaam len magar jo un ke ji mein aae use barmala likhen likkhe muqaddama to musannif ba-qalam-e-khud lekin hai ye atal ki wahi faisla likhen do jilden is liye unhen bhejin kitab ki be-lag apni rae likhen tabsira likhen bole wo dekh kar mera majmua-e-kalam pahle pe kya likhun chalen ab dusra likhen