inhi do se aabaad har ek ka ghar hai kamana hai fan aur bachana hunar hai ye baat aaj hi sochna hai zaruri kise hai khabar aane wale dinon ki bure waqt mein kaam aaenge aksar rakhoge agar chaar paise bacha kar bachat hi se mil-jul ke banti hai daulat bachat hi se badhti hai mulkon ki taqat ye faslen ye bazar ye kar-khane bachat ne sanware hain bigde zamane zara ja ke ghar dekh lo chiyuntiyon ka wo danon ka karti hain kaise zakhira yunhi qatra qatra samundar banega yunhi lamha lamha muqaddar banega bachat ki jo bachpan se daloge aadat bade ho ke paoge duniya mein rahat