zat ka aaina-khana jis mein raushan ek charagh-e-arzu chaar-su zafrani raushni ke daere mukhtalif hain aainon ke zawiye ek lekin aks-e-zat ek ikai par usi ki zarb se kasrat-e-wahdat ka paida hai tilism khalwat-e-aina-khana mein kahin koi nahin sirf main! main hi but aur main hi but-parast! main hi bazm-e-zat mein raunaq-afroz jalwa-ha-e-zat ko deta hun dad! jab hawa-e-shokh ki mauj-e-sharir tod jati hai kisi khidki ke parde ka jumud to bigad jata hai khel dew-qamat aks ko bauna bana deti hai bahar ki kiran ai meri na-mustaid majhul zat ai ki tu az-khud nazar-band aaina-khane mein hai sochti hai tu kahegi an-kaha aur kuchh kahti nahin! sochti hai tu likhegi shahkar aur kuchh likhti nahin! sochti hai tu jahan-dari ki baat aur kuchh karti nahin! sochne hi sochne mein saat-e-takhliq jab tere shal hathon se jati hai phisal to bilak padti hai tu ai meri na-mustaid majhul zat khalwat-e-aina-khane se nikal ai charagh-e-arzu jis taraf zau-pash ho jis taraf se shah-rah-e-justuju tash aur shatranj ke shahon se bartar hai kahin wo piyaada jo chale wo piyaada jo chale khud apni chaal ai meri na-mustaid majhul zat koi fikr koi kaam! koi baat!