main hun ek bachcha mazdur bachpan se hun koson dur subh se kaam pe jata hun sham ko wapas aata hun main bhi padhna chahta hun aage badhna chahta hun khel kud ko waqt nahin kya ji main bad-bakht nahin chahta hun ghubbare lun ham-sin yaron se khelun lekin kya kar sakta hun din bhar kaam pe rahta hun kis se dil ki baat kahun kab tak main khud pe roun haalat se majbur hun main aur bachcha mazdur hun main kash koi mujh ko samjhe mujh se na bachpan chhine