wo aaya shahr ki taraf ek us ki chap ki khanak qayam-e-roz-e-ishq ki pukar thi ki barg-o-bar-e-khak ka fishaar thi wo aaya shahr ki taraf lapak ke int ki taraf wo is tarah badha ki jaise nan-e-khushk par koi sag-e-gurasua gir pade wo galiyon bhari zaban gali gali chhalak padi har ek jeb us ki ungliyon se tar tar thi ki us ki thuthni se phutti gamak qiyam-e-roz-e-ishq ki pukar thi wo galiyon bhari zaban mera libas gandagi se bhar gai na jaane kitne log us ke dast-e-dashna-dar se guzar gae hayat par kar gae wo be-hunar subuk-tani se dar gaya sab us ki rah se hat gae to us ne apni ruh ki barahnagi zamin-e-mah ki taraf uchhaal di ki ye hunar usi ka tha