ek aisa zamana guzra hai jab apna sahaara koi na tha manjhdar mein apni kashti thi mahfuz kinara koi na tha sad shukr ke wo din bit gae jab kucha-gardi karte the ab apne club ke kaamon mein hum waqt guzara karte hain tafrih ke sare kaamon mein jab rode sab atkate the jab khel ka nam aa jata tha bal tewri par pad jate the ab apne sare buzurgon ko shishe mein utara karte hain sad shukr ke wo din bit gae jab kucha-gardi karte the ab apne club ke kaamon mein hum waqt guzara karte hain ye library apni hai ye bank ka kaam hamara hai ye reading room hamara hai ye park hamara apna hai hum apne bigadte kaamon ko khud aap sanwara karte hain sad shukr ke wo din bit gae jab kucha-gardi karte the ab apne club ke kaamon mein hum waqt guzara karte hain school mein din bhar padh likh kar jab sham ko hum ghar aate hain phir apne club mein jate hain aur apna ji bahlate hain zehnon ko jo shal kar deta hai wo bojh utara karte hain sad shukr ke wo din bit gae jab kucha-gardi karte the ab apne club ke kaamon mein hum waqt guzara karte hain