wo fasana jise tariki ne dohraya hai meri aankhon ne suna meri aankhon mein larazta hua qatra jaga meri aankhon mein larazte hue qatre ne kisi jhil ki surat le li jis ke khamosh kinare pe khada koi jawan dur jati hui doshiza ko hasrat o yas ki taswir bane takta hai hasrat o yas ki taswir chhanaka sa hawa aur phir haal ke phaile hue parde ke har ek silwat par yak-ba-yak daman-e-mazi ke larazte hue sae nache mazi o haal ke nate jage