bataun khaya hai kya main ne aaj do thappad durust kar ke gae hain mizaj do thappad hakim nabz meri dekh kar ye kahne laga tere maraz ka hai asli ilaj do thappad ye gal gore the jo aaj lal lal hue ki in pe kar gae halka massage do thappad wo mera bhai hai us par bhi dhyan do ammi main khaun chaar to khae siraj do thappad na nashta kare khae na lunch aur dinner bajae khane ke khai hai taj do thappad tamam din nahin kuchh kaam pitne ke siwa hamari ammi ka hai kaam kaj do thappad hamari asl khataen to wo bata na sakin par aapa de ke gain hum ko byaj do thappad bahut hi hum to hain be-sharm han magar aksar hamare chehre pe lae hain laj do thappad ye dar hai main jo bada ho ke bhi raha jahil na mar de mere munh par samaj do thappad