TeDha sawal

mez ke upar rakkhe the kanse ke bandar
kamre mein tha ek dhundalka halka halka

main ne dekha
ek bandar tha hath rakhe apni aankhon par

ek honton par
ek kanon par

ek hansi honton par aai
gunj abhi baqi thi us ki

main ne aankhen mal kar dekha
aankhon par se hath hatae bandar mujh ko ghur raha hai

yun goya hai
kaisi achchhi nasl thi jis ne mere hath rakhe meri aankhon par

kaisi achchhi nasl thi jis ne chaha main na burai koi dekhun
naqis manzar ban na sake kanta aankhon ka

nek banun main
main ne dekha

dusra bandar honton par se hath hatae meri jaanib dekh raha hai
yun goya hai

kaisi achchhi nasl thi jis ne mere hath rakhe mere honton par
kaisi achchhi nasl thi jis ne chaha koi lafz bura na kahun main

nek banun main nek rahun main
main ne dekha

tinon bandar yun goya hain
ek zamane ba'd ab hum ne

aankhen kholin jannat badli badli si duniya ki dekhi
lab khole hain lafzon ki lazzat se lab mahzuz hue hain

lafz sune shirin lafzon ka sehr ajab hai
lekin

ab hum ko pahchan nahin hai
kya achchha hai aur bura kya

tum batlao
sari burai khatm hui kya

kya duniya ghar hai neki ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close