eid bahut hi dhum se aai bazaron mein raunaq lai pahan ke achchhe achchhe kapde bachche apne ghar se nikle kapde gote aur phate ke jhilmil karte jham jham karte eid milan ko pahunche ghar ghar kitne khush the baham mil kar pheni aur mithai khai mithi mithi eid manai mile unhen eidi ke paise khel khilaune khub kharide ja kar bagh mein jhula jhule duniya ke sare gham bhule sab ne dil se eid manai magar hamein to zara na bhai tum jo nahin thin pas hamare dil bhar aaya gham ke mare meri 'simin' meri pyari tum ko mubarak eid tumhaari tum ne manai khub ye eid hamein tumhaari hui na did hum to jab tum ko dekhenge eid usi din ki samjhenge