yun meri qabr bana jaise shabistan-e-nashat maut ka jashn mana farsh-e-shabnam pe bichha lal gulabon ki bisat khali taqon pe saja zard sharabon ke zuruf wa darichon pe ba-sad naz-o-ada tankne aa bhini khushbu ke dhanak-rang hariri parde abhi kuchh der thahar bano abhi daf na baja na utha soi hui kaliyon ke ghungat na utha maut agar jashn-e-mulaqat hai aa jashn mana ek sitare ko janam de ek sitara ki jo us maut ki shab raqs kare maut aur raqs nind mein bhigi hui palkon pe bedar jalal dur ek jang-zada dasht mein taswir-e-jamal sina-e-khak pe kohon ka tarashida kamal aa meri banhon mein lahra ke chali aa bano raushni bujh gai jalne lage badanon ke hisar dur kafur ki thandak mein khade hain ashjar khushk hai mera gala khali hai pani ka gilas apne ashkon se meri pyas bujha aa meri qabr bana