bachchon ki id

id ke din kuchh chhote bachche
bhole bhaale sidhe sade

ek jagah par aa kar baithe
apni jaanch lage sab karne

aapas mein yun bole bachche
kis ne kitne roze rakkhe

sab se pahle bola dara
main ne rakkhe pure barah

saffo boli mere terah
tum se ek ziyaada rakkha

bano boli mere chhe hain
bhai dara se aadhe hain

hun bhi to main chhoti un se
isi liye kam roze rakkhe

yun hi the sab kahte jate
apne roze ginte jate

sunta tha sab baitha munna
soch ke yun wo sab se bola

main ne bhi rakkhe hain roze
tum sab se hain zyaada mere

sab bole tum ne kab rakkhe
wo bola main ne sab rakhe

ek ek din mein do do roze
saffo mere gino to roze

munna ki ye baaten sun kar
khub hanse khush ho kar bachche

id to sach-much bachchon ki hai
ya phir roza-daron ki hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close