watan ki shan

rani jab school se aai
ammi ko ye baat batai

ammi ji school mein apne
khub hui hai aaj safai

kona kona saf hua hai
sabun se bhi hui dhulai

hum ne sundar chart banae
aur ek ek diwar sajai

phulon ke paudon se hum ne
gulshan ki dharti mahkai

is se bhi badh kar ammi bhi
aur hui hai ek badai

waqt pe madam aa jati hain
hoti hai ab khub padhai

ammi ye kya bhed hai aakhir
kaise ye tabdili aai

ye sun kar phir ammi bolin
beti ko har baat batai

tum ko ye malum nahin hai
bhaarat ne li hai angdai

bachcha bachcha jag utha hai
khun mein sab ke garmi aai

daftar mil school dukanen
chhai hai sab par ranai

mandir masjid gurudware bhi
karte hain jalwa-arai

jangal jangal sabza lahka
dahqan ki ummid bar aai

shahr hue hain saf aur suthre
ganw mein bhi raunaq aai

kitne hi dukh dur hue hain
ghatti jati hai mahngai

jhuggi mein rahne walon ko
colony ki rah dikhai

bhaarat mein ab amn-o-aman hai
mit gae jhagde aur ladai

des ke dushman sakte mein hain
bol ke sab ne munh ki khai

jai ho jai indara gandhi ki
us ne watan ki shan badhai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close