hum ne bakri ke bachchon ko kamron mein nachana chhod diya naraaz na ho ammi hum ne har shauq purana chhod diya daddy ke suit pahan kar hum sofon par dance nahin karte sare ghar ki buniyaadon ko ab hum ne hilana chhod diya dada abba ka ab chashma bakre ko nahin pahnate hum nana abba ki lathiya ab hum ne chhupana chhod diya bandar ko sehra bandh ke hum dulha na banaenge ammi ab ghunghat kadh bandariya ko doli mein bithana chhod diya nadiya ke gahre pani mein khae na kai din se ghote ghar hi mein pade ab sadte hain nadiya pe nahana chhod diya ab sabr ke mithe phal aahen bhar bhar kar khate hain malan ko bana baithe khala mali ko rulana chhod diya ghar mein baithe sadhu ban kar ab ilm ki mala japte hain khargoshon ke pichhe jangal mein kutton ko bhagana chhod diya pinjron mein band jo rahti thin wo phir se uda den sab chidiyan murghon mein sulh karaate hain murghon ko ladana chhod diya ab hum ne kabhi khana kha kar kapdon se hath nahin ponchhe dekho kai din se dhobi ne rona chillana chhod diya har ek baghawat chhodi hai har ek shararat rukhsat hai ab ghar mein farishte aate hain shaitan ne aana chhod diya hum se phir bhi naraaz ho kyon kya tum sauteli ammi ho apne in pyare bachchon ko ab munh bhi lagana chhod diya jin aankhon mein roz shararat thi in aankhon mein aansu ab dekho in aap ki pyari aankhon ko ab hum ne rulana chhod diya hai ghar ki faza sahmi sahmi ghamgin hain bachchon ke chehre kab hans ke kahungi ai bachcho kyon hum ko satana chhod diya