ajab safar tha ajab pur-asrar marhala tha ajib hangam-e-rah-e-nawardi ajib shauq-e-jahan-numa tha na koi saut-e-dara sada-e-rahil thi aur na koi manzil na karwan tha ajib khu-e-safar thi jo zad-e-rah thi ham-safar thi rahraw thi rahbar thi na dil mein andesha-e-marahil na khauf-e-jada na intizar-e-sawad-e-manzil har us tufan-e-baad-o-baran na pae rah-e-afrin mein laghzish na rah-e-gum-kardagi ka sadma bas ek bebak hausla tha jo sari hasti pe chha gaya tha ki jaan mahshar-ba-dast thi pech-o-kham rah-e-pur-khatar ke uqda-kusha the dil farigh-e-khatar tha ajab safar tha ajab bala-khez marhala tha ki dur tak sarhad-e-ufuq tak samundar-o-sabza-zar-o-wadi-o-koh-o-sahra-o-dasht-o-dariya the aur main thi musafirat thi safar barae-safar tha ek pyas ka samundar tha jo rag-e-jaan mein maujzan tha wo arsa-e-motabar tha ya ahd-e-mukhtasar tha wo jo bhi tha ek ajab safar tha ajab bala-khez marhala tha