aata hai yaad mujh ko bachpan ka wo zamana rahta tha sath mere khushiyon ka jab khazana har roz ghar mein milte umda laziz khane be-mehnat-o-mashaqqat hasil tha aab-o-dana bachchon ke sath rahna khushiyon ke git gana dil mein na thi kudurat tha sab se dostana mehndi ke patte lana aur pis kar lagana phir surkh hath apne har ek ko dikhana aawaz dugdugi ki jun hi sunai deti us ki taraf lapakna bachchon ka walihana har sal pyare abbu late the ek bakra chaara use khilana maidan mein ghumana wo dur ja chuka hai aata nahin palat kar bachpan ka wo zamana lagta hai ek fasana dadi ko main ne ek din ye mashwara diya tha chehre ki jhurriyon ko aasan hai mitana chehre pe aap ke hain jo be-shumar shiknen aaya meri samajh mein un se najat pana kapde ki sari shiknen mitti hain istiri se aasan sa amal hai ye istiri chalana ek garm istiri ko chehre pe aap pheren umda hai mera nuskha hai shart aazmana ek roz walida se ja kar kaha kitchen mein ab chhodiyega ammi ye rotiyan pakana ek ped rotiyon ka dalan mein lagaen us ped ko kahenge roti ka karkhana shakhon se taza taza phir rotiyan milengi todenge rotiyan hum khaenge ghar mein khana kaisi ajib baaten aati thin mere lab par aaj un ko kah raha hun baaten hain ahmaqana wo pyari pyari baaten ab yaad aa rahi hain bachpan ka wo zamana kya khwab tha suhana