surmai pahadon par ye hare bhare jangal shakh shakh hariyali chumte hue panchhi chaar su fazaon mein zindagi mahakti hai phul muskuraate hain rang-o-nur ki chadar odh kar hawa nikli aasman raushan hai dur tak zamin apni banh khole man jaisi khelte parindon ko pyar se bulati hai titliyon ke jhurmut se ek ek pagdandi be-nazir lagti hai jaise koi man beti saf suthre aangan mein chutkiyon se rangon ki raushni lutati hun surmai pahadon ke mashriqi kinaron par raushni chamakti hai zindagi damakti hai ye bahaar ka mausam is zamin se ugta hai is zamin ka hissa hai jis kisi ka ji chahe ye bahaar le jae surmai pahadon ke jangalon ki shadabi shakh shakh hariyali jis kisi ka ji chahe apni ruh mahkae