nai nai duniya lagti thi nae nae se log khilti kaliyan subh sawere kaise maddham maddham hairat hoti phul pe kaise jam jati hai shabnam chidiyon ki aawaz sunati ghungru jaisi chham-chham barish ki bunden girtin pedon pe rim-jhim rim-jhim bargad ki dadhi ko pakde bachche peng badhate kawwe maina koyal chidiyan mil kar shor machate man ke hathon ki ek khushbu basti thi roti mein bina shakkar lagta tha mitha thanda thanda pani tha kitna masum sa bachpan baat na hum ne jaani wo panchhi mithi aawazen nur si ujli bhor phisal gai kyon hath se apne wo sapnon ki dor