yaad hai mujh ko jab main chadh kar ek pahadi ki choti par shakh pe ek darakht ke baitha karta tha main tera nazara koson tak wo tera shewa dhani mashi ka hi bhura koson tak wo tere maidan suthre saf chatile maidan chhitki chhitki jhadiyan us par qudrat ki gul-kariyan us par tal talayyan dariya reti bagh chaman aabaadi kheti aise the sab meri nazar mein paen bagh ho jaise ghar mein jab main ye sab dekh raha tha khush tha dil aur ye kahta tha hadd-e-nazar ko aur badhaun aisi bulandi par chadh jaun aisi choti par ja baithun main saf jahan se dekh sakun main shahr aur sube ganw aur qasbe bikhre bikhre chhitke chhitke sara qudrat ka furniture mere aage aae simat kar sari insani aabaadi yani duniya ki aabaadi mere aage khel rahi ho roti gati aur hansti ho is mahwiyyat mein jab main tha mujh ko hua malum ki goya koi mujh ko khinch raha hai chaunk pada main kaun hai kya hai