bachpan ki aankhen sadak ke kinare khadi roti hain sarasimgi ke aalam mein apne jute aur chappalen chhod kar bhagne walon ki dahshat aur hairaniyan in mein sarayat kar chuki hain bachpan ki aankhen hairan hain ki gharon ko aag lagane walon aur un ke andar phanse hue khauf-zada logon ka darmiyani rishta in ki samajh mein nahin aata unhen malum nahin ki tange se ghasit kar gali mein le jai jaane wali auraton ke sath kya suluk kiya gaya chhajje par khada hua budha kis ki banduq ki goli kha kar gira buton tale raunde jaane wale jism kin logon ke the bachpan ki aankhen sadak ke kinare khadi roti hain ki inhon ne jo kuchh dekha wo be-mani hai bachpan ki gawahi adalat mein taslim nahin ki jati