ek bar phir faqiron ka bhes liye mere dar par ayyar aa khade hue hain ye wahi to hain jo ek bar pahle mujh se mera naqsh le kar hathon mein thama gae the jannat ka ek hasin tukda jo un ke jate hi dozakh ban gaya tha chand sal baad wo mujh se ek aur naqsh le kar is ke badle de gae the ek samundar jo is dozakh ko bujha sakta tha lekin un ke chale jaane ke baad wo samundar tufan-e-nuh ban gaya aur aaj phir wo mere dar par khade hain kandhon par liye hue ek kashti aur naqsh hath mein liye main soch raha hun kya ye kashti mujhe tufan se nikal sakegi?