bachpan

ye bachche jin ko maen loriyan de kar sulati hain
bitha kar apne pankhon par jinhen pariyan udati hain

ajab hoti hain un ki khwahishen har shai ko pane ki
kabhi karte hain ye zid chand tare tod lane ki

unhen mauqa jo mil jae shararat khub karte hain
mohabbat karne walon se mohabbat khub karte hain

kuchh un mein padhne likhne ke bahut shauqin hote hain
to kuchh school jate waqt un un karke rote hain

ye jaldi dosti karte hain pal mein chhod dete hain
ye ghusse mein khud apne hi khilaune tod dete hain

anokhi har ada un ki nirala taur hota hai
jise kahte hain hum bachpan sunahra daur hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close