wo galiyon mein barish wo gulnar chehre tamannaon ke wo bhanwar gahre gahre bhari dhup mein wo patangen pakadna wo baaton hi baaton mein ladna jhagadna koi kash mujh par ye ehsan kar de ki bachpan ke kuchh pal mere nam kar de main ab us purane mohalle mein ja kar khuda se ye fariyaad karne laga hun main bachpan tujhe yaad karne laga hun wo aangan mein lahraate sawan ke jhule rahe yaad har dam kabhi hum na bhule wo gudde wo gudiya wo pyare khilaune wo nannhi si aankhon ke sapne salone na aage ki chinta na pichhe ke gham the na thi fikr koi na ranj-o-alam the palat kar suhane palon ke safon ko main dil ko phir aabaad karne laga hun main bachpan tujhe yaad karne laga hun kabhi nange pairon se galiyon mein jaana wo barish ke pani mein kashti chalana wo khwabon khayalon mein pariyon ki baaten wo holi ke din wo diwali ki raaten wo jab sath duniya ke bandhan nahin the wo pal khub-surat the wo din hasin the wo lamhe wo yaaden saja kar ke yaro ye nashad dil shad karne laga hun main bachpan tujhe yaad karne laga hun