chand ne mujh se kaha ai shaer-e-fikr-e-azal mere bare mein bhi likh de koi sanjida ghazal har talluq tod rakkha hai hilal-e-id se tujh ko fursat hi nahin hai mah-washon ki did se rasm-e-didar-e-hilal-e-id, afsana hui baam par us dam chadhe, jis waqt farzana hui le ke nazrana kameti ne ujala hai mujhe gar nahin nikla, zabardasti nikala hai mujhe mein jo be-marzi nikal aaya to danta hai bahut maulwi ne mukhtalif khanon mein banta hai bahut is ko mat follow karo, is ki tariqat mand hai tum bareilly ke ho aur ye deobandi chand hai ye jo khun-alud hai, afghaniyon ka chand hai mukhtalif tukdon mein pakistaniyon ka chand hai ek karachi se hai nikla ek pas-e-lahore hai sindh ka chand aur hai punjab ka chand aur hai wo jo ham-sae ki biwi hai ghazala chand hai aur us ke sath jo rahta hai kala chand hai shaeron ne apne sheron mein bahut pela mujhe 'mir' o 'ghaalib' ne bhi samjha khak ka dhela mujhe sher mein, rashk-e-qamar laila ko farmane lage tube-light ko hilal-e-id batlane lage apni biwi se kaha untiswin ka chand ho aur padosan se kaha tum chaudhwin ka chand ho aam si aurat ko mah-para bana kar rakh diya chand ko tuta hua tara bana kar rakh diya chand par jis din se insan ke qadam padne lage chandni jin se ho aaise balb kam padne lage main zamin se dur hun lekin bahut nazdik hun ai zamin walo main tum se dur rah kar thik hun main zamin par aa gaya to har bashar le jaega sab se pahle ten-parsent apne ghar le jaega