ajab ghadi thi kitab kichad mein gir padi thi chamakte lafzon ki maili aankhon mein uljhe aansu bula rahe the magar mujhe hosh hi kahan tha nazar mein ek aur hi jahan tha nae nae manzaron ki khwahish mein apne manzar se kat gaya hun nae nae daeron ki gardish mein apne mehwar se hat gaya hun sila jaza khauf na-umidi umid imkan be-yaqini hazar khanon mein bat gaya hun ab is se pahle ki raat apni kamand dale ye chahta hun ki laut jaun ajab nahin wo kitab ab bhi wahin padi ho ajab nahin aaj bhi meri rah dekhti ho chamakte lafzon ki maili aankhon mein uljhe aansu ajab nahin mere lafz mujh ko muaf kar den hawa-o-hirs-o-hawas ki sab gard saf kar den ajab ghadi thi kitab kichad mein gir padi thi a bad omen