abhi kuchh din lagenge khwab ko tabir hone mein kisi ke dil mein apne nam ki shama jalane mein kisi ke shahr ko daryaft karne mein kisi anmol saat mein kisi naraaz sathi ko zara sa pas lane mein abhi kuchh din lagenge dard ka parcham banane mein purane zakhm pe marham lagane mein mohabbat ki kawita ko hawa ke rukh pe lane mein purani nafraton ko bhul jaane mein abhi kuchh din lagenge raat ki diwar mein ek dar banane mein muqaddar mein lagi ek ganth ko aazad karne mein nae kuchh marhale taskhir karne mein mere 'ghaalib', mere 'tagore' ko apna banane mein abhi kuchh din lagenge dasht mein phulon ka gul-dasta sajaane mein abhi kuchh din lagenge magar ye din ziyaada to nahin honge bas ek mausam ki duri par kahin hum tum milenge bas ek saat ki nazdiki mein baham mashware honge bas ek guzre hue kal se pare hum pas baithenge bahut sa daras sah lenge bahut si baat kar lenge!