bad-tamiz

kya tujhe ilm hai
barf-bari hui hai

shumali ilaqon mein darja-e-hararat nafi ki kai sidhiyan chadh chuka
kya tujhe ilm hai

gas kamyab hai
aur bijli ki qillat ne sarma ke din kitne yakh kar diye

par tujhe kya
ki tu apni jhuggi ke dar par badi be-niyazi se pasri hui

muft ka kuda-karkat jalati hui
ek bhadakta bhabhakta alaw banae hue

zindagi-bakhsh hiddat ka saman kiye
gande nale se uthti hui dhund ka lutti hai maza

main ne dekha abhi
qimti jacketon aur coaton mein malfuf kuchh be-kason ko thithurte hue

aur tujhe un pe hanste hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close