jab dariya mein aag lagi machhli ne ek jast lagai ja baithi diwar par kachhwe ko udna aata tha ud ke baitha tar par meindak ko aage jaana tha wo to bhaga car par jab dariya mein aag lagi tar pe billi nach rahi thi kachhwe se ye boli aao baadal mein chhup jaen khelen aankh-michauli machhli baithi ungh rahi thi wo bhi pichhe ho li jab dariya mein aag lagi baadal mein pani kam-kam tha lekin dhup ziyaada dhup ke bistar par leta tha barish ka shahzada sab mein ole bant raha tha shahzade ka dada jab dariya mein aag lagi machhli ne aawaz lagai lao mujhe bhi ole billi aur kachhwe ko dekh ke dada ji ye bole dhup ki khidki baadal ke darwaze kis ne khole jab dariya mein aag lagi dada ki ye baat suni to bijli daudi aai billi ko ek dhakka mara kachhwe se takrai machhli apna munh latkae niche wapas aai jab dariya mein aag lagi