bada pur-haul rasta tha badan ke jauhar-e-khufta mein koi quwwat-e-lahut mudgham thi kisi ghul bayabani ki gardish mere dast-o-pa ki mahram thi dahan-e-jaan se kharij hone wali bhap mein the salimat-e-dard raushan guzargahon ke sab na-mo'tabar patthar khala mein udne wali past mitti ke siyah zarre pahad aur aaine sae kure pedon ke patte paniyon ki gol lahren raat ki la-ilm chizen shash-jihat ke sab anasir zor se pichhe hate the aur main aage hazaron kos aage badh gaya tha ek ajab raftar meri aag mein thi kis qadar pur-haul rasta tha padaw ke liye kitne jazire darmiyan aae zamin mud mud ke aai aur ek ek kar ke saton aasman aae musalsal chal raha tha main hawa mein dhal raha tha main masamon se shua-e-be-nihayat phuti padti thi abad ka ek jadaw taj mere sar pe rakha tha bada pur-haul rasta tha koi barq-e-shabahat aarzu-bardar meri aag mein thi ek ajab raftar meri aag mein thi