shairi tu parindon ki chonchon pe ugti hui naghmagi tu darakhton ki chhanw mein palti hui sadgi tu bahaaron ke daman mein bikhri hui be-khudi tu sulagte sawalon ke baatin mein bahki hui aarzu tu hai masum bachche ki aankhon mein hairat-kada kaun samjhe tujhe tirgi raushni zindagi bebasi aadmi aur ek kaamani kaun teri zaban se hua aashna kaun samjha tujhe paniyon ki ladai mein maujon ne teri koi baat mani hai kya sarhadon par bhadakti hui aag ne tere qadmon pe bosa diya hai kabhi shairi aa zara dekh le mere pahlu mein bargad ke pale hue waswase apne mathe se chup ki lakiren mita aur bata istiaron se bargad ki shakhen bhi katti hain kya shairi tujh se to kaamani ka koi ek jazba bhi mahka nahin tujh se duniya mein kya inqalab aaega shairi dekh mere sirhane tamannaen kitni hain zanjir-e-pa kitne khwabon ke tute hue par hain bikhre hue aa ki mil kar ajal ke kisi gosha-e-nam mein jaane ko rakht-e-safar bandh len kaun samjha tujhe kaun samjhe tujhe