december ka mahina aur dilli ki sardi sitaron ki jhilmilati jhurmut se pare aasman ke ek sunsan goshe mein punam ka thethurta hua koi chand jaise baadalon mein khata hai mutwatir hachkole haule haule tanha musafir aur dur tak kohre ki chadar mein lipti bal khati sadken dhund ki ghubar mein khoya hua india gate thand mein thokaren khata musafir khush nasib hai baadalon mein ghus jata hai chand meri christmas ki raunaqen phaili hain tamam sitaron se raushan saje dhaje bazar laziz khanon ki khushbuen jahan phaili hain har-su bazar ki garm fazaon mein mai ki sarmasti mein duba hua hai pure shahr ka shabab tanha musafir ki chand roza masafat bhi kya shai hai yaro! ham-watanon se dur apno se dur jamuna tat par jaise bin manjhi ke naw boat club ke sard pani mein jaise tairta rukta hua koi tanha hubab tanha musafir sochta hai koi hai jis ka wo hath tham le haule haule koi hai jo us ke sath kuchh daur chale haule haule dhund mein khoi hui manzilen tawil sadken aur tanha musafir jaise punam ka thethurta hua koi chand baadalon mein khata hai mutwatir hachkole haule haule