badal li beach safar mein hi rah aap ne bhi ki zar ki chhanw mein le li panah aap ne bhi meri umid ko ek din ujad hi jaana tha khud apni zat kyon kar li tabah aap ne bhi baja ki ishq bhi kuchh kuchh tha maslahat ka shikar hawa ke rukh ki tarah ki hai chah aap ne bhi kabhi to dhadkanen dil ki sunai deti thin suni na jag ki tarah aaj aah aap ne bhi radif qafiye sab aap ke liye the mere magar na bhul ke ki wah wah aap ne bhi siwae sidq mere pas aur kuchh bhi nahin kharid rakkhe hain jhute gawah aap ne bhi wafaen aap ki sangat pe naz karti thin sila wafa ka diya hai karah aap ne bhi 'rashid' log to basti ujad dete hain kiya hai dil ko dukha kar gunah aap ne bhi