damakte suraj ki aankh khulne ka waqt aaya zamin ke lawe ne karwaten lin falak ne dekha to kanp uttha ye sar-phire log kaun se hain hawa ne puchha sune hue azm ke nishan un ke zard chehron pe khil uthe hain ye log din-raat jagte hain ye chahte hain ki zard mitti pe surkh phulon ki barishen hon zamin ki wusat pe qarya qarya muhafizon ki alag zamin ho zamin ke be-taj baadshahon ne hum ko luta hai qarya qarya hamari jholi mein bhik dali hai bhik mein wahime diye hain ye wahime hi hamare ghar hain hum un gharon mein kai zamanon se rah rahe hain gharon ki diwaren rafta rafta simat rahi hain chhaten dhamakon se phat rahi hain hum un ke malbe mein dab rahe hain qaran qaran jaan-ba-lab rahe hain phir ab to ye ahd kar liya hai ye ghar rahenge ya hum rahenge kabhi na donon baham rahenge zamin pe sailab aane wala hai us mein poshida wo ujala hai jis se sadiyon ki tirgi par nashe ufuq ki nazar padegi usi ujale ki wusaton mein wo roz hai jis ki ek jumbish har ek diwar tod degi lahu sitam ka nichhod degi wo ghar bhi mitti pe aa rahenge jo ghar nahin hain hamare zindan hain jin ki takhti badalti rahti hai nam un ke hazar rakkhe gae hain phir bhi hawas ke zindan to ek jaise hain ek zanjir hi ki kadiyan alag alag bhi hain ek bhi hain