margila aur tum aur main

koi phulon bhara jangal tha
bhaari khushbuon wala

kisi wadi mein thandi sabz rangat gir rahi thi
dil bhi gahrai mein girta tha

ghane patton ke ghere-dar gahre sabz baadal the
jahan tanha kiran ne khud ko hi rasta banaya

khud hi us par sat ranga jism le kar chal padi
aankhon pe utri putliyon ke par pahunchi

to wahan main dekh paya tum ko aur khud ko
hamara rang dhani tha

jamal-e-rang naghma-rez tha
hum sun rahe the

wo ajab rangon bhara sapna tha
jis mein chal rahe the hum

hawa chalti to mere dil se koi baat le leti
tumhaare dil mein rakh deti

tumhaari aankh se jo rang udta
wo meri aankhon mein aa jata

wo ek phulon bhara sapna tha
jis mein chal rahe the hum

magar ab dekhte hain
chaar jaanib dhup mein jalta zamana hai

zamane ki bahut be-rang sadken hain
hum un par bhagte hain aur khud ko mil nahin pate

na-jaane tum kahan gum ho
na-jaane main kahan gum hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close