makan la-makan ki 'ajab dastan hai zamin-o-zaman se pare bhi jahan hai jahanon se aage jahan mil rahe hain jahan zindagi ke nishan mil rahe hain jahan hur-o-ghilman hain bagh-e-adan hai wahan ek badan mawara-e-badan hai badan aasman hai badan hi zamin hai badan jo nahin hai to kuchh bhi nahin hai badan zindagi hai badan sarkhushi hai badan rasti hai badan bandagi hai badan chand suraj badan kahkashan hai badan ye jahan hai badan wo jahan hai badan hai samundar badan be-karan hai badan bijliyon ki chamak mein nihan hai badan rang-o-bu hai chaman-dar-chaman hai elora ajanta ke fan mein badan hai badan mausamon ka naya bankpan hai badan mai-kada hai badan hi nasha hai badan ki mahak se mo'attar faza hai badan ibtida hai badan intiha hai badan irtiqa hai badan mein khuda hai badan jo nahin hai khala hi nahin hai sada be-sada hai fana hi fana hai