baghair suraj ke din

baghair suraj ke din udasi ka tarjuman hai
bikharte patton ne mujh se puchha hai tu kahan hai

darakht har su udas chehre charagh jaise bujhe hue hain
na aks pani mein mah-washon ke na raqs dil mein bahaar-e-jahan hai

hawa ke nauhon mein teri khushbu rachi hui hai
hawa ke nauhon ne mujh se puchha hai tu kahan hai

baghair suraj ke din meri maut ka nishan hai
sisakte lamhon ka karwan hai

daraaz rahon ke naqsh rahi jo ajnabi the jo ajnabi hain
khamoshiyon ke kai alaw jale hue hain

sulagti aankhon ne mujh se puchha hai tu kahan hai
ye zindagi zindagi ka saya ki khauf ki koi dastan hai

nafas nafas jis mein imtihan hai
na ab dariche mein tera chehra na aariz-o-lab ka phul koi

na teri qamat kisi qayamat mein chupke chupke badal rahi hai
na ab shikayat na wo hikayat na wo riwayat ke silsile hain

sitam yahi hai ki ab sitam dil ka ham-zaban hai
tum ko logon ne mujh se puchha hai tu kahan hai

baghair suraj ke din udasi ka tarjuman hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close